Saturday, April 21, 2012

Shayari-2


Mainey unhe kaha mat jao..

Kuch nahin kehneko magar, ruk jao..
Par wo kuch aur lamha theher na paaye..
Akela karke humey, khaaboon se v nikal aaye..

Humney dil se kaha k wo ye samajh jaye..
K e-dil dard yahi hai..
Tujhey ab isi k saath rehni hai..

Dekhna jisey bhi tu chahta hai..
Waqt usey bahat dur karjata hai..

Duniya mein bhid kuch jyada ho gayi hai..
Tanha rehney ko ab sehen khali hi nahi hai..

Kuch kam karde apni iss tanhai ko..

Zindegi apney raastey chalrahi hai..
Dil tu v samjh ja k dard yehi hai...P!

Wednesday, January 18, 2012

Shayari-1


Zindegi k har panney pe kuch naya dekha hai,
Dard bahat zyada aur sukoon thoda kam dekha hai..

Jab v naseeb mein khusi ka saya dhundne chala,
Mainey dhup ko dhaltey aur shaam ko apney nazdik dekha hai..

Ab toh unke paas raha sirf lamha bhar khusi aur hansi,
Mainey toh unn aankhon mein ab sirf ashkon ka sailaab dekha hai..

Ta-umr jisney mera haath pakde rakkha,
Aaj mainey ussey khudka sahara dhundte dekha hai..

Daria k kinarey kavi miley na miley,
Humney sabko safar ka andaaz badaltey dekha hai..

Waqt k saath sabka aashiyana badal jata hai, Lekin
Dard k saaz ko Mainey humesha apney hi aangan mein dekha hai...P!